hawa zamane ki saqi badal to sakti hai hayat saghar-e-rangin mein dhal to sakti hai bas ek latif tabassum bas ek hasin nazar mariz-e-dil ki ye haalat sambhal to sakti hai jahan se chhod rahe ho mujhe andhere mein wahin se rah-e-mohabbat nikal to sakti hai phir apne ghuncha-e-zakhm-e-jigar ka kya hoga nasim-e-subh meri samt chal to sakti hai teri nigah-e-karam ki qasam hai ab bhi mujhe yahi yaqin ki duniya badal to sakti hai 'salam' jam-o-subu ki ye shairi malum wagarna apni tabiat bahal to sakti hai