pukara nit-nae mehwar badalne walon ne palat ke dekha na lekin sambhalne walon ne kiya na ek bhi pal ke liye qayam kahin zamin ki khak pe sadiyon se chalne walon ne nazar se aai sada-e-shikast-e-khwahish-e-qurb badhae hath agar hath malne walon ne qubul kar liya har daere ki dawat ko hisar-e-jabr se bahar nikalne walon ne mere wajud ke khurshid ki shuaon ko sula diya hai andheron mein jalne walon ne wo khauf kya tha ki jis ke nuzul par 'khalid' kaha na kuchh bhi bahut kuchh ugalne walon ne