hawadis par na ai nadan nazar kar qaza se jang be-khauf-o-khatar kar muafi bhi saza se kam nahin hai bas ab is darguzar se darguzar kar jahan dubi thi kashti aarzu ki usi girdab mein nikli ubhar kar kabhi to mail-e-tark-e-sitam ho kabhi mujh par karam ki bhi nazar kar guzara to yahan mushkil hai ai dil magar ab jis tarah bhi ho guzar kar wo mujh khunin-kafan se puchhte hain kahan jaane lage ho ban-sanwar kar wahi hasti ka chakkar hai yahan bhi bhanwar hi mein rahe hum par utar kar meri mukhtariyon ke sath ya-rab meri majburiyon par bhi nazar kar nae aalam idhar bhi hain udhar bhi yahi dekha do-alam se guzar kar bayan-e-dard-e-dil ai 'josh' kab tak khuda-ra ab ye qissa mukhtasar kar