jab duaen bhi kuchh asar na karen kya karen sabr hum agar na karen dastan khatm ho hi jaegi aap qisse ko mukhtasar na karen chhodta hi nahin hamein sayyaad warna parwa-e-baal-o-par na karen qabil-e-afw main nahin na sahi na karen aap darguzar na karen un ko ehsas-e-dard-e-dil kaisa mar bhi jaun to aankh tar na karen us ki bechaargi ka kya kahna jis ki aahen bhi kuchh asar na karen ye bhi tashhir-e-shaeri hai 'josh' aap diwan mushtahar na karen