hawaen be-‘inan hain aaj ghar se dur mat jao kaha tha na agar jao chale jaana magar jaldi hi laut aao kaha tha na kaha tha na ye duniya kab kisi ka sath deti hai farebi hai kisi par mat yaqin karna zara socho qasam khao kaha tha na kaha to tha ki bahar ke nazare khubsurat hain magar sach hai ye sab parchhaiyan hain in se dil apna na bahlao kaha tha na kaha ye bhi tha dushman tez hai ‘ayyar hai tarrar-o-shatir hai tum apne hath se apne liye mat jal phailao kaha tha na meri baaten hamesha hi tumhein yunhi si lagti hain to mat sunna magar kuchh ho hi jae to na pachhtao na ghabrao kaha tha na kaha sab kuchh to tha us din kahan lekin tumhein sunna gawara tha balaon se jo bachna ho mere daman mein aa jao kaha tha na khabar hai na pata hai na ye daman dhup se tum ko bacha lega ki ab to meri baaton par yaqin kar lo idhar aao na pachhtao kaha tha na