hawaen jab ghantiyan bajaen to laut aana kisi ki aankhen diye jalaen to laut aana bahut dinon tak ye mausam-e-gul nahin rahega jo shakh-e-jaan par gulab aaen to laut aana hawa darakhton se jab gale mil ke ro rahi ho parind lambe safar pe jaen to laut aana jo zid pe aa jae dil to us ki bhi man lena purani yaaden bahut sataen to laut aana firaq ki aag chat jati hai jism-o-jaan ko jo sun sako waqt ki sadaen to laut aana