is shahr-e-kaj-kulah ke aasar dekhna aur khud ko be-rida sar-e-bazar dekhna wo mere baadban ka khulna hawa ke sath aur mud ke tera jaanib-e-rahwar dekhna aashob-e-khisht-o-khak se ji ko aman kahan phir us pe rang-e-shisha-e-pindar dekhna ab ke lagan kaun uthane ko aaega ab ke saron ki fasl hai tayyar dekhna masnad-nashin-e-shahr-e-kharabaat kaun ho kis se sambhal sakegi ye dastar dekhna gah is fasil-e-yaad ki qindil par nigah gah asp-e-harf-o-khwab ki raftar dekhna jis mein gharib-e-shahr ki beti chuni gai ai mere shahr-e-yar wo diwar dekhna