hawaen lakh chalen lau sambhalti rahti hai diye ki ruh mein kya chiz jalti rahti hai kise khabar ki ye ek din kidhar ko le jae lahu ki mauj jo sar mein uchhalti rahti hai agar kahun to tumhein bhi na e'tibar aae jo aarzu mere dil mein machalti rahti hai madar se nahin hatta koi sitara kyun ye kis hisar mein har chiz chalti rahti hai wo aadmi hun sitare hun ya tamannaen samay ki rah mein har shai badalti rahti hai yunhi azal se hai 'amjad' zamin gardish mein kabhi sahar to kabhi raat dhalti rahti hai