wo nishana bhi khata jata to behtar hota aakhiri tir na lagta to main patthar hota tishnagi apni sadaon si bhatakti hoti ret ka dher sarabon ka samundar hota phir wahi qissa wo ek bar sunata mujh ko phir nigahon mein wahi khwab-sa manzar hota main ne hi kat din sab phailti shakhen warna is ghane ped ka saya mere sar par hota