hawaen tez thin ye to faqat bahane the safine yun bhi kinare pe kab lagane the khayal aata hai rah rah ke laut jaane ka safar se pahle hamein apne ghar jalane the guman tha ki samajh lenge mausamon ka mizaj khuli jo aankh to zad pe sabhi thikane the hamein bhi aaj hi karna tha intizar us ka use bhi aaj hi sab wade bhul jaane the talash jin ko hamesha buzurg karte rahe na jaane kaun si duniya mein wo khazane the chalan tha sab ke ghamon mein sharik rahne ka ajib din the ajab sar-phire zamane the