beja na tha uth baithna bechaini se mera shab samne aankhon ke wo taswir khadi thi ek hath dhara dil pe ek angusht dahan mein yun kushta-e-ulfat ki tere lash padi thi us gauhar-e-yakta ki jo main yaad mein roya har ashk-e-musalsal mera moti ki ladi thi sadme se shab-e-hijr ke jita jo bacha tu bimar-e-tap-e-hijr teri umr badi thi ki us ne hai aasan dam-e-tegh se warna manzil ye 'shuur' apne liye sakht kadi thi