hawas bala ki mohabbat hamein bala ki hai kabhi buton ki khushamad kabhi khuda ki hai kisi ko chahne wale yahi to karte hain bada kamal kiya hai agar wafa ki hai guzar basar hai hamari faqat qanaat par nasib ne yahi daulat hamein ata ki hai tamam raat padi thi guzarne ke liye chunanche khatm surahi zara zara ki hai sharab se koi raghbat nahin hai muhtasibo hakim ne hamein tajwiz ye dawa ki hai zara si der ko aae the shaikh idhar lekin yahin janab ne maghrib yahin isha ki hai tumhaara chehra-e-pur-nur dekhta hun to yaqin hi nahin aata ki jism khaki hai mujhe aziz na ho kyun rijaiyat apni ye gham-sharik mere daur-e-ibtila ki hai 'shuur' khud ko zahin aadmi samajhte hain ye sadgi hai to wallah intiha ki hai