khuda rakhe meri diwangi ko na bhula hun na bhulunga kisi ko na kar ruswa mazaq-e-mai-kashi ko bujha le be-piye hi tishnagi ko mere nazdik tamhid-e-alam hai khushi main kah nahin sakta khushi ko luta kar kaenat-e-zindagani ba-mushkil aaj paya hai kisi ko sahaara le raha hun bebasi ka mukammal kar raha hun zindagi ko na samjha hai na samjhega zamana khudi ke sath rabt-e-be-khudi ko dikha kar ek jhalak chhup jaane wale nigahen dhundhti hain phir tujhi ko ghazal be-kaif thi muddat se 'rahi' duaen do 'jigar' ki shairi ko