hawas ka rang chadha us pe aur utar bhi gaya wo khud hi jama hua aur khud bikhar bhi gaya thi zindagi meri rahon ke pech-o-kham ki asir magar main raat ke hamrah apne ghar bhi gaya main dushmanon mein bhi ghir kar nidar raha lekin khud apne jazba-e-haiwaniyat se dar bhi gaya mere lahu ki talab ne mujhe tabah kiya hawas mein sang ki hathon se mere sar bhi gaya hai lafz-o-mani ka rishta zawal-amada khayal paida hua bhi na tha ki mar bhi gaya sila ye manzil-e-maqsud ka mila 'shadab' safar tamam hua aur ham-safar bhi gaya