raunaq tere kuche ki badhane chale aae arbab-e-junun hashr uthane chale aae ab aur numaindagi-e-shab na karo tum hum parcham-e-khurshid udane chale aae jab garmi-e-shabnam se badan jalne laga hai hum aag ke dariya mein nahane chale aae jo log mera naqsh-e-qadam chum rahe the ab wo bhi mujhe rah dikhane chale aae jin se mujhe phulon ki thi ummid wahi log kante meri rahon mein bichhane chale aae ye gardish-e-haalat ki hai zarra-nawazi wo khud hi mujhe aaj manane chale aae kya ye bhi koi anjuman-e-mah-washan hai 'rahi' bhi ghazal apni sunane chale aae