hawas ka rang ziyaada nahin tamanna mein abhi ye mauj hai beganagi ke sahra mein samundaron mein sitaron ki aag phaili hai mahak raha hai lahu lazzat-e-nazara mein hawa ne abr-e-bahaaran se bewafai ki khabar karo kisi aaram-gah-e-tanha mein dilon ke band darichon se jhank kar dekho kisi fasad ki parchhaiyan hain duniya mein fareb tha jo mujhe zoam-e-be-karani tha udas hain mere sahil firaq-e-dariya mein mujhe to ek tera husn hi bahut hai magar tere liye bhi bahut kuchh hai khwab-e-farda mein