jaan pyari thi magar jaan se be-zari thi jaan ka kaam faqat jaan-faroshi nikla khak main us ki judai mein pareshan phirun jab ki ye milna bichhadna meri marzi nikla sirf rona hai ki jina pada halka ban ke wo to ehsas ki mizan pe bhaari nikla ek nae nam se phir apne sitare uljhe ye naya khel nae khwab ka bani nikla wo meri ruh ki uljhan ka sabab jaanta hai jism ki pyas bujhane pe bhi raazi nikla meri bujhti hui aankhon se kiran chunta hai meri aankhon ka khandar shahr-e-maani nikla meri ayyar nigahon se wafa mangta hai wo bhi mohtaj mila wo bhi sawali nikla main use dhundh raha tha ki talash apni thi ek chamakta hua jazba tha ki jali nikla main ne chaha tha ki ashkon ka tamasha dekhun aur aankhon ka khazana tha ki khali nikla ek nai dhup mein phir apna safar jari hai wo ghana saya faqat tifl-e-tasalli nikla main bahut tez chala apni tabahi ki taraf us ke chhutne ka sabab narm-khirami nikla ruh ka dasht wahi jism ka virana hai har naya raaz purana laga basi nikla sirf hashmat ki talab jah ki khwahish pai dil ko be-dagh samajhta tha jazami nikla ek bala aati hai aur log chale jate hain ek sada kahti hai har aadmi fani nikla main wo murda hun ki aankhen meri zindon jaisi bain karta hun ki main apna hi sani nikla