hawas ke bij badan jab se dil mein bone laga main khud se milne ke sare jawaz khone laga rafiq-e-subh tha suraj se rishta-dari thi sipah-e-shab mein ye kis ka shumar hone laga ajib manzar-e-akhir tha bujhti aankhon mein wo mujh ko mar ke be-ikhtiyar rone laga is ehtiyat ki sarhad saza se milti hai lahu ka nam liya aastin dhone laga phir is ke baad ye sari zamin meri thi jaga ke jab se mujhe ye zamir sone laga