hansi masum si bachchon ki copy mein ibarat si hiran ki pith par baithe parinde ki shararat si wo jaise sardiyon mein garm kapde de faqiron ko labon pe muskurahat thi magar kaisi hiqarat si udasi pat-jhadon ki sham odhe rasta takti pahadi par hazaron sal ki koi imarat si sajae bazuon par bazu wo maidan mein tanha tha chamakti thi ye basti dhup mein taraj o ghaarat si meri aankhon mere honton pe ye kaisi tamazat hai kabutar ke paron ki reshmi ujli hararat si khila de phul mere bagh mein paighambaron jaisa raqam ho jis ki peshani pe ek aayat bashaarat si