hawas ki aag mein jalte hain bezari mein jite hain

hawas ki aag mein jalte hain bezari mein jite hain
yahan kuchh log ab khwahish ki bimari mein jite hain

gharibon ko kabhi lut jaane ka khatra nahin hota
jama karte hain jo daulat wo dushwari mein jite hain

jahan par har hukumat ja ke sajda-rez hoti hai
pata hai tujh ko hum kis ki amal-dari mein jite hain

bane naukar hukumat ke gai hathon se aazadi
ki ab din-raat hum file ki almari mein jite hain

kisi ke samne hath apne phailaen ye na-mumkin
gharibi mein bhi hum itni waza-dari mein jite hain

sada hum haq ko haq baatil ko baatil likhne wale hain
nahin in ki nahin un ki taraf-dari mein jite hain

unhen mat dhundiye ja kar kisi bazm-e-charaghan mein
‘amanullah-khan’ to apni fankari mein jite hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close