gulon ke muskurane ka zamana ho gaya ruKHsat

gulon ke muskurane ka zamana ho gaya rukhsat
kisi se dil lagane ka zamana ho gaya rukhsat

utho parwaz ki khatir parindo apne par kholo
qafas mein phadphadane ka zamana ho gaya rukhsat

ab us ke gesu-e-barham ki tariki na jaegi
charagh-e-dil jalane ka zamana ho gaya rukhsat

yahan har ek qadam par doston ki bewafai hai
adu ko aazmane ka zamana ho gaya rukhsat

milegi kis tarah maqbuliyat is jumle-bazi se
kisi ko ab lubhane ka zamana ho gaya rukhsat

na jaane kis khandar mein kho gai tabir ki manzil
koi sapna sajaane ka zamana ho gaya rukhsat

aman sham-o-sahar mobile se hoti hain ab baaten
sanam ko khat lagane ka zamana ho gaya rukhsat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close