hawas-o-hafize ka man rah gaya hai bas kahan ki yaad tera dhyan rah gaya hai bas tamam lashkar-e-aql-o-nigah khet raha bisat-e-ishq pe sultan rah gaya hai bas wo aur hain ki jo gham ko ghalat bhi karte hain ye dil to hijr se hairan rah gaya hai bas khadang-e-khwab tujhe dil mein le ke baith rahun mere liye yahi aasan rah gaya hai bas wirasaton ke sab ehsas gum hue 'arshad' meri najat ko iman rah gaya hai bas