hawa-e-hirs-o-hawas se mafar bhi karna hai isi darakht ke sae mein ghar bhi karna hai ana hi dost ana hi harif hai meri isi se jang isi ko sipar bhi karna hai chal aa tujhe kisi mahfuz ghar mein pahuncha dun phir is ke baad mujhe to safar bhi karna hai yahi nahin ki pahunchna hai aasmanon par dua-e-wasl tujhe ab asar bhi karna hai hamein to shama ke donon sire jalane hain ghazal bhi kahni hai shab ko basar bhi karna hai