hawas-o-hosh se begana hona bhi zaruri hai

hawas-o-hosh se begana hona bhi zaruri hai
kabhi insan ka diwana hona bhi zaruri hai

ye aankhen kis liye phir aur di hain dene wale ne
charagh-e-husn ka parwana hona bhi zaruri hai

kuchh is unwan se phaile ki maqbul-e-do-alam ho
haqiqat ke liye afsana hona bhi zaruri hai

nahin be-kaif-e-sahba thik duniya se guzar jaana
halak-e-gardish-e-paimana hona bhi zaruri hai

baghair us ke junun ki azmaton par tabsira kaisa
'munawar' ke liye farzana hona bhi zaruri hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close