sabhi andhere sameTe hue paDe rahna

sabhi andhere samete hue pade rahna
charagh-e-rah-guzar is tarah bane rahna

ye khwahishon ka samundar sarab jaisa hai
sabhi ka apne taaqub mein bhagte rahna

nai bahaar ki khushiyan nasib hon lekin
nishaniyan gae mausam ki bhi rakhe rahna

udas chehre koi bhi nahin padha karta
numaishon ki tarah aap bhi saje rahna

main itni bhid mein ek roz kho bhi sakta hun
kasi jagah to mera nam bhi likhe rahna

ai zindagi mere dukh-sukh kahan ye chhod aai
wo lamha lamha bikharna wo rat-jage rahna

'rais' kaun sa aaseb hai makanon mein
tamam shahr ye kahta hai jagte rahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close