hawas-parasti o ghaarat-gari ki lat na gai yazid mar gaya lekin yazidiyat na gai ghira raha main ajab kashmakash ke aalam mein ki jab talak mere sanson ki sut kat na gai khirad ki aag mein sadiyon jale badan lekin dil-o-dimagh se bu-e-munafirat na gai hayat o maut ke har inqalab se guzre hamare sar se magar aasman ki chhat na gai jatan hazar kiye marg-e-na-gahani ne magar hayat ki hargiz chalat-phirat na gai tilism-e-lafz-o-maani mein qaid hun 'shadab' tamam umr mere hath se lughat na gai