badan pe KHarqa-e-tahzib phaTne wala hai

badan pe kharqa-e-tahzib phatne wala hai
jise bacha ke rakha hai bahut sambhaala hai

tumhein dikhaun main shahr-e-jadid ka naqsha
ye dedh int ki masjid hai ye shiwala hai

tamam raikon mein rakkhi hui kitabon mein
tumhein khabar nahin fikr-o-nazar ka jala hai

muhib andhere mein raushan khayal logon par
na jaane agle hi pal kya guzarne wala hai

jahan bhi ubhri sada-e-zamir-e-insani
jadidiyat ke naqibon ne mar dala hai

faza mein udte hue aur ladkhadate hue
parind-e-khasta ka ek aakhiri sambhaala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close