haya ruh-e-gul-e-eazaz bhi hai shuur-e-zindagi ka raaz bhi hai mohabbat raaz andar raaz bhi hai kahin ye soz bhi hai saz bhi hai use kaise na dil de dun ki jis mein wafa bhi husn bhi andaz bhi hai rah-e-ishq-o-wafa mein zindagani tarana bhi hai soz-o-saz bhi hai mohabbat mein na dekh anjam ai dil ye ek be-intiha aaghaz bhi hai tabassum hi nahin ghaarat-gar-e-dil bala-e-jaan khiram-e-naz bhi hai dil-e-'jauhar' hai ek aashiq ki duniya ki ye pamal-e-husn-o-naz bhi hai