hayat-e-dard musalsal bhi intishaar bhi hai

hayat-e-dard musalsal bhi intishaar bhi hai
qarar dhundne walo kahin qarar bhi hai

shamim-e-gul se sulagta hai daman-e-ehsas
ki teri nikhat-e-poshak shoala-bar bhi hai

zamana khud nazar aata nahin zamane ko
ki dil ka aaina aaluda-e-ghubar bhi hai

zaban se kahiye to kyon kahiye us ki mahfil mein
wo dil ka haal jo surat se aashkar bhi hai

ye chahta hai ki kaunain ka khuda ban jae
wo aadmi jise thoda sa ikhtiyar bhi hai

bahaar le gai jin wahshiyon ko sahra mein
chaman ko un ke palatne ka intizar bhi hai

thahar ke dida-e-nargis mein os ki bunden
ye kah rahi hain ki gul hans ke ashk-bar bhi hai

nigah-e-rashk se dekho na ahl-e-sarwat ko
bahaar hai magar us ka kuchh e'tibar bhi hai

zamana ek kasauti hai doston ke liye
hain raazdar bahut koi gham-gusar bhi hai

mili hai ishq se 'sima' jise bhi daulat-e-gham
usi ko sozish-e-har-zakhm khush-gawar bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close