hayat hai ki musalsal safar ka aalam hai har ek sans mein wahshi ghazal ka ram hai jahan azal se ghata-top zulmaten hain muhit wahan bhi aaj farozan nigah-e-adam hai unhin ke khun se damkega kal rukh-e-giti hayat jin ke liye aaj saghar-e-sam hai usi ki aanch se pighlega zindagi ka jumud jo soz aaj ba-zahir dilon mein kam kam hai jahan-e-soz hai mere khunuk taranon mein main wo sharar hun jis par rida-e-shabnam hai na jaane jag uthe 'shad' kab nasib-e-jahan bahut dinon se mizaj-e-hayat barham hai