yahi nahin ki nigahon ko ashk-bar kiya tere firaq mein daman bhi tar tar kiya mata-e-ishq yahi hasil-e-hayat yahi khulus nazar kiya aur dil nisar kiya yahi bas ek khata wajh-e-be-qarari thi jo reg-zar mein baran ka intizar kiya zar-e-bayan se muzayyan nuqush-e-husn kiye mata-e-harf ko midhat-sara-e-yar kiya palat ke aa gae nale jo aasmanon se khuda ko chhod diya kufr ikhtiyar kiya