hayat-o-marg ka uqda kusha hone nahin deta wo jaane kyun mujhe raaz-ashna hone nahin deta use kis darja apne husn-e-yaktai ki chahat hai wo apna sa koi bhi dusra hone nahin deta khirad bhatkae hai aksar dalael se aqidat ko magar gumrah tera naqsh-e-pa hone nahin deta jo chhu lun aasman panw ki dharti khinch leta hai wo mujh ko kyun mere qad se bada hone nahin deta jawan-lashe pe hain shikwa-ba-lab kandhe zaifi ke agar wo chahta ye hadisa hone nahin deta