har ek shakhs ko ek tantane mein rakhti hai wo bhant bhant ki machhli ghade mein rakhti hai tamam shahr ke danishwaron ko wo zalim asir-e-zulf kiye aasare mein rakhti hai wo galiyan bhi agar de to sher-o-naghma lage zaban mein loch ajab sur gale mein rakhti hai use sharab-e-tuhura ka tazkira bhi gunah ye baat aur hai sab ko nashe mein rakhti hai har ek ko dard ki lazzat se aashna kar ke maze mein rahti hai sab ko maze mein rakhti hai samajh ke haq wo har ehsan bhul jati hai magar har ek khata hafize mein rakhti hai use khabar hai ki anjam-e-wasl kya hoga wo qurbaton ki tapish fasle mein rakhti hai sukun ke sae mein shayad use bhula baithe mudam shahr ko ek zalzale mein rakhti hai