hayat-o-maut ke parde gira ke tumhein dekha hai tum se bhi chhupa ke mujhe tadpa rahe hain yaad aa ke wo lamhat-e-hasin ahd-e-wafa ke wahan daman ko uljhae hue hun guzarna tha jahan daman bacha ke meri khuddariyon ki laj rakh li main sadqe us dil-e-be-muddaa ke teri mahfil mein khali hath aae kisi ummid par sab kuchh luta ke khayalon mein tere aanchal ko dekha sitare jab bhi chatke muskura ke khabar bhi hai tujhe ai jaan-e-'maikash' fasane ban gae har har ada ke