hazar bach ke nikalte kahan thikana tha hamein lahu ke samundar mein dub jaana tha tabuk aaj bhi aawaz de raha hai hamein urus-e-maut ko badh kar gale lagana tha thithak ke aab-e-rawan raste bana deta the shahsawar hamein laut ke na aana tha wo jis ne jast lagai thi gahre pani mein usi ke hath tah-e-ab ka khazana tha faraaz-e-koh se shahin ne udan bhari paron mein aasman minqar mein zamana tha uda rahe the abhi hum adu ke par purze khuli jo aankh to sab khwab tha fasana tha