teri nigah-e-karam kyon hamin pe ziyaada hai zamane tu hi bata kya tera irada hai kitab-e-dil to likhi hum ne shauq se lekin padega kaun use har waraq hi sada hai bhulana chaho hamein shauq se bhula do magar tumhein bhula na sakenge hamara wada hai khilenge phul mohabbat ke intizar karo abhi to dur talak barf ka labaada hai chalega khel siyasat ka kis ke bute par bisat-e-waqt pe kamzor har piyaada hai ghazal ke fan pe abhi us ki hukmarani hai 'majid' apni hukumat ka shahzada hai