hazar bar wo baitha hazar bar utha bacha na shahr mein kuchh bhi to chobdar utha azal se ra-nawardi jo thi wo ab bhi hai abhi chhata tha abhi rah mein ghubar utha nafas ke tar ki girhen ki kaenat ke kham sarab dil mein tha sahra ke aar-par utha khamoshiyon ke takallum ko pujne wala wahi tha bazm mein aakhir gunahgar utha wo sath tha to muqaddas the mere sare huruf bichhad gaya hai to lafzon ka e'tibar utha