hum is jahan mein aae to sath lae din kisi ke maut ke jine ke sab manae din khushi ka din to badi minnaton se banta hai udasiyon ke magar hain bane-banae din hue hain aankh se ojhal kabhi jo apne the hamari god mein palte hain kuchh parae din ye shor-o-ghul ye thahake ta qahqahon ka hujum bade jatan kiye phir hum ne chup karae din jab us ka raat ka nashsha utarne wala tha ghamon ko ghol ke hum ne use pilae din na is mein chand na hi jagmagate tare hain koi sitara-sifat aa ke ab sajae din main us ke sath andheron ki sair par nikli wo mere sath raha aur mujhe dikhae din