hazar chaha lagaen kisi se dil lekin bichhad ke tujh se tere shahr mein raha na gaya kabhi ye soch ke roe ki mil sake taskin magar jo rone pe aae to phir hansa na gaya kabhi to bhul gae pi ke nam tak un ka kabhi wo yaad jo aae to phir piya na gaya sunaya karte the dil ko hikayat-e-dauran magar jo dil ne kaha hum se wo suna na gaya samajh mein aane laga jab fasana-e-hasti kisi se haal-e-dil-e-zar phir kaha na gaya