zamane ki nazar se dekhta hun main kahan hun ye tanhai mein aksar sochta hun main kahan hun kaha us ne mujhe us ko mohabbat hai kisi se main apne aap se ye puchhta hun main kahan hun wo mujh se ruth kar phir ho gaya nazron se ojhal main us lamhe se ab tak dhundhta hun main kahan hun ye wo ganw hai ya phir shahr dar aaya hai is mein main har ek shakhs se ye puchhta hun main kahan hun musafir hai yahan sare ye duniya ek safar hai yahan rukna hai kitna jaanta hun main kahan hun