hazar gham hon to phir intikhab kaise karun darida dil ko main nazr-e-azab kaise karun main us ko bhul chuka tha kai baras ke baad mili hai wasl ki saat hisab kaise karun wahi hai ishq ki manzil wahi wafa ka safar khuli jo aankh zara zikr-e-khwab kaise karun gham-e-hayat ki ab koi intiha hi nahin main apni zat ko waqf-e-sarab kaise karun ye shahr-e-dard hai ai dostan-e-dil-zadgan wafa shumar karun ehtisab kaise karun wahi hai azmat o jah o hasham wahi mansab faqih-e-shahr wahi hai khitab kaise karun 'saba' wo shakhs abhi tak hai mujh se begana main us ki zat se phir intisab kaise karun