hazar ham-safaron mein safar akela hai ye intishaar ki ek ek bashar akela hai gulu-burida sabhi hain magar zah-e-tauqir buland nok-e-sinan par ye sar akela hai na pattiyan hain na phal-phul phir bhi chhanw to dekh suna tha main ne ki gham ka shajar akela hai ye bhid khak dikhaegi shan-e-be-jigari ye us ka haq hai jo sina-sipar akela hai lipat ke ruh se kahta raha badan kal raat na jao chhod ke mujh ko ki ghar akela hai mata-e-qalb-o-jigar kis ko saunp dun 'saghar' hujum-e-be-hunari mein hunar akela hai