hazar jaan se sahab nisar hum bhi hain tumhaari tir-e-nigah ke shikar hum bhi hain azal se dakhil-e-fard-e-shumar hum bhi hain tumhaare chahne walon mein yar hum bhi hain hamesha hum se kudurat rahi hasinon ko na dil se nikle kabhi wo ghubar hum bhi hain musafiron ki tawazo se nam hota hai karam karo ki gharib-ud-dayar hum bhi hain sharab pite hain to jagte hain sari raat mudam aabid-e-shab-zinda-dar hum bhi hain hazar bar hasinon se hum ne nok ki li gulon ki aankh mein khatke wo khar hum bhi hain ajib rutba inayat kiya hai qambar ko ghulam ya shah-e-duldul-sawar hum bhi hain junun ke hath se hai in dinon gareban tang qaba pukarti hai tar tar hum bhi hain bade hi chaaliye hain chaal chalte hain har dam wo chukte nahin par hoshiyar hum bhi hain raqib ko bhi hai bar un ki bazm mein 'agha' sharik-e-sohbat-e-bos-o-kanar hum bhi hain