wo sitam-parwar ba-chashm ashk-bar aa hi gaya chaak-damani pe meri us ko pyar aa hi gaya mitte mitte mit gai jaan-e-wafa ki aarzu aate aate be-qarari ko qarar aa hi gaya chupke chupke mujh pe meri khamushi hansti rahi rote rote jazb-e-dil par ikhtiyar aa hi gaya koi wada jis ka mani-ashna hota nahin phir usi wada-shikan par e'tibar aa hi gaya ya ilahi jazba-e-hosh-o-khirad ki khair ho muntazir jis ka junun tha wo dayar aa hi gaya