hazar karte raho jatan tum jatan ke dam par bujha kahin se bujha sako to bujha ke dekho ubhar padega sukut lab ho zamir lekin khamosh mujh ko na rahne dega pukarne par pukarti hai mere hi andar sada kahin se yahan wo dar-o-rasan nahin hain kisi ki jaan hai samar kisi ka lahu kahin se chhalak padega uthega rang-e-hina kahin se jahan ke zindan mein habs aakhir rahega kab tak sahenge kab tak jahan to aakhir jahan rahega jahan mein dhundo saba kahin se numu sukhan mein hai aamadon ki sukhan pe kaamil yaqin mujhe hai qalam to mera hi chal raha hai pa ho rahi hai ata kahin se