kis liye puchhte hain jabki sabab jaante hain log jo haal-e-dil-e-chaaratalab jaante hain kis ki lau thaharti hai kaun se bujhte hain charagh hum naqiban-e-hawa sab ke nasab jaante hain aashna lakh milen tujh se qarin bhi hun bahut jaanne wale bhi ai dil tujhe kab jaante hain kis ke dhoke mein rahen muntazir-e-khwab-e-hasin hum bhi sada hain kahan mohlat-e-shab jaante hain saya tak rakhte hain malhuz dabistan-e-wafa aankh uthaen bhi to aadab-o-adab jaante hain kaun kath-putli hai aiwan-e-tamasha kis ka pas-e-parda to haqiqat yahan sab jaante hain