hazar naqs hain mujh mein mere kamal ko dekh mujhe na dekh dil-awezi-e-khayal ko dekh gada-e-husn tera khugar-e-sawal nahin nigah-e-shauq mein ranai-e-sawal ko dekh nasim-e-subh ki atkheliyon se barham hai chaman mein phul ke chehre pe ishtial ko dekh ghubar-e-rind hai ya khak-e-saqi-e-mahwash adab se chum ke har saghar-e-sifal ko dekh khayal-e-aish mein bhi kaif-e-arzu na raha hayat-sozi-e-zahrab-e-infial ko dekh hujum-e-jalwa-bad-aman ada-e-khud-bini nigah-e-sabr se aaraish-e-jamal ko dekh tamiz-e-khwab-o-haqiqat hai shart-e-bedari khayal-e-azmat-e-mazi ko chhod haal ko dekh rahegi 'wajd' teri kaenat-e-dil barham kaha tha kis ne ki us husn-e-be-misal ko dekh