dil hi mera faqat hai matlab ka ya jigar bhi hai aap ke dhab ka qais o farhad se main hun waqif ho chuka hai muqabla sab ka khai hai ek nai mithai aaj bosa paya hai yar ke lab ka mai-kade mein sharab pite hain ye pata hai hamare mashrab ka shia sunni mein to bakhede hain nam lun kis ke aage mazhab ka malak-ul-maut se kaho phir jaen jite-ji mar chuka hun main kab ka aap farmaen hijr ka ahwal main karun zikr wasl ki shab ka subh ko jhonke nind ke kaise kahin jaga hua hai tu shab ka us ke kucha ki bhik chahte hain shauq jagir ka na mansab ka rahe din bhar wo muddai mere yaad kar ke muamla shab ka barg-e-gul aa main tere bose lun tujh mein hai dhang yar ke lab ka naqd-e-dil deta hun to kahte hain wah aisa 'sakhi' hai tu kab ka