hazar phul liye mausam-e-bahaar aae jo dil ho sukh ke kanta to kya qarar aae jawab le ke phiri shukr naza ki hichki wo ab pukarte hain hum jinhen pukar aae sulajh sakin na meri mushkilen magar dekha ulajh gae the jo gesu unhen sanwar aae falak ko dekh ke hanste ye gul to achchha tha jo abr aae wo gulshan pe ashk-bar aae bahut se yaad hain mahfil mein baithne wale kabhi to bhul ke koi sar-e-mazar aae abhi hai ghuncha-e-dil ki shaguftagi mumkin hazar bar agar mausam-e-bahaar aae ye be-murawwatiyan dekhiye ki lab na hile jo pas the hum unhen dur tak pukar aae jawab mil to gaya go wo dil-shikan hi sahi yahi sada mere malik phir ek bar aae andheri raat thi achchha kiya jo ai 'saqib' charagh le ke su-e-zulmat-e-mazar aae