jasad ne jaan se puchha ki qalb-e-be-riya kya hai khitab aaya ki aaine mein jauhar ke siwa kya hai ayan aaine mein hai surat-e-mani-safa kya hai nihan taskin mein hai iztirab-e-dil riya kya hai mitana aap ko nabud ho jaana fana kya hai samana aap mein aur khud ba-khud hona baqa kya hai do-alam jalwa-gah-e-husn mein ain-e-basirat mein ye aks-e-shakhs hai aaine mein surat-numa kya hai wo yakta zat hai ain-e-surur-e-ilm-o-haq ai dil nihan kasrat mein wahdat ho gai hai ma-siwa kya hai qidam hai zat-e-wahid haal hai mazi-o-mustaqbil azal se ta abad ki ibtida kya intiha kya hai mita kar dil se pindar-e-khudi insaf se dekho ki be-zauq-e-tamanna hasti-e-bim-o-raja kya hai na the aape mein musi warna un ka hausla kya tha jo bol uthte ki aa parda se bahar dekhta kya hai tajalli ban gai 'sahir' naqab-e-ru-e-jaan-e-jaan ki didan hukm-e-na-didan hai yarab majra kya hai